Me: Aap chahne wale kaise ho?
Guru: Ye jo itne khubsurat phool hain,nazare hain, drishya hain main sabko chahta hun. Wo kiska dil hoga jo inko naa chahe. Lekin main inko paane ki kamaana nahi karta. Ye hain bas itna hi bahut hai. Dekh kar harshit ho leta hun. Mujhe ye nahi lagta ki main inko choo kar dekhun, ya inka bhog karun. Jaisa bhav inke singaar ka hai waisa hi bhav mere chahne ka hai.
Me:Inke singaar ka kya bhav hai?
Guru: Ye bas khubsurat hain to hain.Kisi ki taarif ki kaamana se sunder nahi hain.Ye inki prakriti hai. Mujhe inse prem ka bhav hota hai , bas lagta hai ye saundarya ye prakriti bani rahe, jaisi hai waisi hi.
Me: Guru ji koi bhi vastu ya rishta ya baat hamare jeeven mein nirarthak ho chuki hai iska pata kaise chale?
Guru: Bada goodh sawaal poocha,paane se jyada jaane dena mushkil ho sakta hai. To jawab main jitna saral ho sake deta hun. Anubhav karo, ki jo kuch bhi tum tak pahunche aur bina hriday tak marg paaye bikhar jaaye wo nirarthak.Theek waise hi jaise ki mitti ka koi dhela tum par aa kar lage aur bikhar jaaye. Uska tumhare jeeven mein ab koi sthan nahi.Aur ye jannana koi kathin kaam nahi. Jo kuch bhi kisi bhi star par tika hi nahi bas bikhar gaya uske saath tumhare karm poore hue. Ab usse jaane do. Chahe wo baat ho ,insaan ho ya ki rishta. Aage aur bahut karm baaki hain , un par dhyan do.
Me: kya jaane dena itna hi asan hai?
Guru: Bilkul asan hai jab ki tum ye samajh lo ki uska jana ki tumhare liye uchit hai. Ek adhyay samapt hua. Ab jeeven ki raah par kuch aur aage badho, naya adhyay shuru karo. Ek hi bhanwar mein fasin rahogi to jo kuch is janam mein poora karna hai wo agle janam tak le jaaogi. Jeeven ka har anubhav ek shiksha aur tayyari hai. Aur jab iish ne gyan aur tayyari dono hi de di to bas ab bhoosi to jhado aur ann ko chuno.
Saturday, April 26, 2008
Subscribe to:
Post Comments (Atom)

1 comment:
Read your latest writing.Quite frankly I am amazed. It is as if the conversations are a message to me from God. I can relate to them so well. Please keep writing.
Aviral
Post a Comment